Aik Shamah Jalani Hoti Hy
Eik shama jalani hoti hy Aik aas lagani hoti hy, Khud ko khud say takra kr fir Aik chamak dikhani hoti hy, Tareeki ko dhundla kr phir Aik simt bnani hoti hy, Us simt pr rafta rafta say Himmat bhi dikhani hoti hy, Haq k rasty pr chalnay ki Taqat bhi jutani hoti hy, Manzil ko galay say lagany ki Qeemat bhi chukani hoti hy, kismat k khel dikhany pr Jan'ain bhi gawani hoti hain, Mar kr to jannat milti hy Pr shaan bachani hoti hy, Millat ko akailay chorh k yun Rahat bhi begani lagti hy, Bhulay say bhi koi bhatka to Pahiya takdeer ka chatka to, Yay watan ko fir na daikhy wo Gul ko wo khud na sainchy to, Do gaz bhar qabr bhi milnay ki Hasrat hi lagani hoti hy. شا عر: طلحہ احمد